sarab-e-sahra mein pani talash karta hai wo daldalon mein rawani talash karta hai har ek zarre se pahchan rab ki hoti hai wo phir bhi us ki nishani talash karta hai use yaqin hai apne khuda ki rahmat par jo tapte sahra mein pani talash karta hai kitab-e-dil ko samajhna muhaal hai us ka wo chehra chehra maani talash karta hai nae ghamon ke andheron se jang hai us ki bujhe diyon ki jawani talash karta hai hon raja rani, hon lashkar, hon hathi ghode sab wo har kahani mein nani talash karta hai bahut sharif hai to 'chand' ja ke sansad mein 'kabir-das' ki wani talash karta hai