ahl-e-ulfat se tane jate hain roz roz aap bane jate hain zabh to karte ho kuchh dhyan bhi hai khun mein hath sane jate hain ruthna un ka ghazab dhaega ab wo kya jald mane jate hain kuchh idhar dil bhi khincha jata hai kuchh udhar wo bhi tane jate hain kyun na gham ho mujhe ruswai ka wo mere sath sane jate hain dil na ghabrae ki wo ruth gae chaar fiqron mein mane jate hain hai ye matlab nahin chhede koi baithe baithe wo tane jate hain be-wafaon se wafa ki ummid 'nuh' nadan bane jate hain