har ek ruh mein ek gham chhupa lage hai mujhe ye zindagi to koi bad-dua lage hai mujhe pasand-e-khatir-e-ahl-e-wafa hai muddat se ye dil ka dagh jo khud bhi bhala lage hai mujhe jo aansuon mein kabhi raat bhig jati hai bahut qarib wo aawaz-e-pa lage hai mujhe main so bhi jaun to kya meri band aankhon mein tamam raat koi jhankta lage hai mujhe main jab bhi us ke khayalon mein kho sa jata hun wo khud bhi baat kare to bura lage hai mujhe main sochta tha ki lautunga ajnabi ki tarah ye mera ganw to pahchanta lage hai mujhe na jaane waqt ki raftar kya dikhati hai kabhi kabhi to bada khauf sa lage hai mujhe bikhar gaya hai kuchh is tarah aadmi ka wajud har ek fard koi saneha lage hai mujhe ab ek aadh qadam ka hisab kya rakhiye abhi talak to wahi fasla lage hai mujhe hikayat-e-gham-e-dil kuchh kashish to rakhti hai zamana ghaur se sunta hua lage hai mujhe