koi tasawwur mein jalwa-gar hai bahaar dil mein sama rahi hai nafas nafas gunguna raha hai nazar nazar muskura rahi hai jhuki jhuki si nigah-e-qatil hazar ghamze dikha rahi hai na jaane jaga hai bakht kis ka ye kis ko bismil bana rahi hai nahin hai ab tab-e-zabt baqi kahin main tauba na tod baithun tera ishaara nahin ye saqi to kyun ghata muskura rahi hai na puchh haalat mariz-e-gham ki ghadi mein kuchh hai ghadi mein kuchh hai tabib tashwish mein pada hai qaza khadi muskura rahi hai meri shab-e-gham ka puchhna kya ajib pesh-e-nazar hai manzar ye zindagi jhilmila rahi hai ki nind taron ko aa rahi hai ye har ada paemal ho kar bhi dil ko hai zauq-e-paemali qadam qadam par teri jawani ajib fitne jaga rahi hai hawa kuchh aisi chali hai 'faizi' tamiz apnon ki ab hai mushkil meri tamanna bhi kuchh khafa hai wafa bhi daman chhuda rahi hai