ahwal chhupate hain kya jaaniye kya ji ka

ahwal chhupate hain kya jaaniye kya ji ka
chehre se badi ainak mathe se bada tapka

ab umr ke kheme mein paiwand hi lagne hain
sahra-e-arab ho ya bazi-gah-e-america

sharminda-e-hasti hain pahchan hamari kya
kasa hi to hota hai chehra bhi sawali ka

meri hi kahani hai mera hi hawala hai
ya tan ho 'mira' ki ya sher ho 'sadi' ka

main apni siyah-rozi par harf na aane dun
qissa jo kabhi nikle tabinda-layali ka

bas mein to nahin us ke tadbir tadaruk ki
ehsas use ho bhi gar meri tabahi ka

jangal mein hon shayad hum kuchh kam hi sarasima
shahron mein to nafiz hai qanun safari ka

ghar jis ne kiya dil mein 'shahin' ajab shai hai
mitti sa hai rang us ka aur nam anamika


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close