ahwal-e-pareshan par kuchh tabsira us ka bhi haalat ke sirhane kuchh der wo roya bhi tajdid-e-talluq par kya harf ki jab us ne rishton ki ibarat ko likh likh ke mitaya bhi sadiyon ki masafat thi ab qissa-e-mazi hai ummid ke dariya bhi ehsas ke sahra bhi kuchh der ko dam lene thahre the yahan sathi pairon se lipatne ko tayyar hai rasta bhi likkha tha jo afsana wo ret pe likkha tha pani pe banaya tha jo naqsh banaya bhi kaghaz ye samajhta hai bar us pe kharashen mein yan khun-e-jigar tapka jo lafz ki likkha bhi 'azad' tujhe us ne apna nahin samjha bas go haal bhi puchha tha aur hath milaya bhi