bagh mein jugnu chamakte hain jo pyare raat ko yaad aate hain un aankhon ke ishaare raat ko shubh hai tum ko kahan tute hain tare raat ko dam-ba-dam aansu tapakte the hamare raat ko tute tare saikdon yun qudsiyon ke dil hile dard se jis waqt hum tum ko pukare raat ko puri gardish aasman ne sham se ki ta-sahar aaj main ne gin liye sare sitare raat ko dhup nikli din ko chehre se hata li jab naqab chandni phaili jahan kapde utare raat ko saf karwat lene ki aawaz aai kan mein su-e-dil jab jhuk ke hum tum ko pukare raat ko zarron ko shabash din ko hain huzur-e-mahr-e-rukh dekhiye chhup ke nikalte hain sitare raat ko hijr ki muddat na hogi khatm sabit ho chuka din ko zarre gin chuka main aur tare raat ko ulfat-e-rukh mein hai wahshat yaad-e-gesu mein buka din ko sahra mein hain dariya ke kinare raat ko aa gai subh-e-qayamat aur main soya nahin phir na aai nind tum jab se sidhaare raat ko dil jigar lene phir aae subh ko kahte hue rah gae bistar pe do moti hamare raat ko munh pe zulf-e-zar-fishan hai mujh se hai rone ka hukm chandni dekhi hai dariya ke kinare raat ko aap aaraish bhi karte hain muafiq waqt ke din ko munh dhoya gaya gesu sanware raat ko dhundhte phirte hain dil ko subh se har-su 'rashid' dil-ruba tha ek pahlu mein hamare raat ko