hum jaise pagal bahutere phirte hain aap bhala kyon baal bikhere phirte hain kandhon par zulfen aise bal khati hain jaise le kar sanp sapere phirte hain chand sitare kyon mujh se panga le kar mere pichhe dere dere phirte hain khushiyan mujh ko dhund rahi hain galiyon mein par gham hain ki ghere ghere phirte hain na jaane kab un ke karam ki barish ho aur na jaane kab din mere phirte hain