ai aarzu-e-qatl zara dil ko thamna mushkil pada mera mere qatil ko thamna tasir-e-be-qarari-e-nakaam aafrin hai kaam un se shokh-e-shamail ko thamna dekhe hai chandni wo zamin par na gir pade ai charkh apne tu mah-e-kaamil ko thamna muztar hun kis ka tarz-e-sukhan se samajh gaya ab zikr kya hai sama-e-aqil ko thamna ho sarsar-e-fughan se na kyunkar wo muztarib mushkil hua hai parda-e-mahmil ko thamna sikhe hain mujh se nala-e-nai aasman-shikan sayyaad ab qafas mein anadil ko thamna ye zulf kham-ba-kham na ho kya tab-e-ghair hai tere junun-zade ki salasil ko thamna ai hamdam aah talkhi-e-hijran se dam nahin girta hai dekh jam-e-halahil ko thamna simab-war mar gae zabt-e-qalaq se hum kya qahr hai tabiat-e-mail ko thamna aaghosh-e-gor ho gai aakhir lahuluhan aasan nahin hai aap ke bismil ko thamna sine pe hath dharte hi kuchh dam pe ban gai lo jaan ka azab hua dil ko thamna baqi hai shauq-e-chaak-e-gareban abhi mujhe bas ai rafugar apni anamil ko thamna mat mangiyo aman buton se ki hai haram 'momin' zaban-e-behuda sail ko thamna