ai be-dilo harif-e-shab-e-tar kyun hue kachchi agar thi nind to bedar kyun hue sahra ko aaj kosti phirti hain aandhiyan diwane gulistan ke taraf-dar kyun hue sust-eatibariyon ko nahin tab-e-intizar wade sahar ke sarf-e-shab-e-tar kyun hue sharma gaya chaman mein tabassum bahaar ka hum gul-farosh zakhm-e-dil-e-zar kyun hue kya gulsitan mein thi safar-amada bu-e-gul jhonke hawa ke qafila-salar kyun hue ai zindagi naqab ulat kar jawab de fan hum se puchhta hai ki fankar kyun hue