ishq se bhag ke jaya bhi nahin ja sakta naqsh-e-yak-khwab mitaya bhi nahin ja sakta hum use dekh ke nazren bhi hata sakte nahin aur use dekhne jaya bhi nahin ja sakta wo kahin khwab mein poshida koi khwab sahi der tak dard dabaya bhi nahin ja sakta zer-e-lab hain jo sadaen koi sunta hi nahin aur bahut shor machaya bhi nahin ja sakta dil chhupaya kisi titli ke paron ke niche ye chhupana to chhupaya bhi nahin ja sakta raat ne git sunaya tha kisi subh ka git git aisa kahin gaya bhi nahin ja sakta ek naya rang udaya hai in aaankhon se 'ata' rang rangon mein milaya bhi nahin ja sakta