ai aarzu-e-shauq tujhe kuchh khabar hai aaj husn-e-nazar-nawaz harif-e-nazar hai aaj har raazdan hai hairati-e-jalwa-ha-e-raaz jo ba-khabar hai aaj wahi be-khabar hai aaj kya dekhiye ki dekh hi sakte nahin use apni nigah-e-shauq hijab-e-nazar hai aaj dil bhi nahin hai mahram-e-asrar-e-ishq dost ye raazdan bhi halqa-e-bairun-e-dar hai aaj kal tak thi dil mein hasrat-e-azadi-e-qafas aazad aaj hain to gham-e-baal-o-par hai aaj