gham-e-mohabbat mein dil ke daghon se ru-kash-e-lala-zar hun main faza bahaarin hai jis ke jalwon se wo harif-e-bahaar hun main khatak raha hun har ek ki nazron mein bach ke chalti hai mujh se duniya zahe giran-bari-e-mohabbat ki dosh-e-hasti pe bar hun main kahan hai tu wada-e-wafa kar ke o mere bhul jaane wale mujhe bacha le ki paemal-e-qayamat-e-intizar hun main teri mohabbat mein mere chehre se hai numayan jalal tera hun tere jalwon mein mahw aisa ki tera aaina-dar hun main wo husn-e-be-iltifat ai 'tajwar' hua iltifat-farma to zindagi ab suna rahi hai ki umr-e-be-etibar hun main