zakhm kab ka tha dard utha hai ab us ke jaane ka dukh hua hai ab meri aankhon mein khwab hain jis ke us ki aankhon mein rat-jaga hai ab sunte aate hain qafila dil ka rahguzar mein kahin ruka hai ab wo jo patthar ka tha musafir wo shahr-e-afsun se aa gaya hai ab jo meri khwahishon ki manzil thi us ke aane ka rasta hai ab jis ko dhunda tha main ne har jaanib mere dil mein kahin chhupa hai ab kitne khwabon mein rang us ke hain kitni aankhon se dekhta hai ab kitne mausam hain sirf us ke liye kitne chehron pe wo saja hai ab kitni baaton mein us ki baaten hain kitne lahjon mein bolta hai ab jo tere shahr le ke aata tha rukh wo dariya badal raha hai ab aao dastak hi de ke dekhen to wahi darwaza phir khula hai ab is hawale se zindagi meri ghane jangal ka silsila hai ab ek diwana apni wahshat mein baat kahne ki kah gaya hai ab