ai abr-e-tar tu aur kisi samt ko baras is mulk mein hamari hai ye chashm-e-tar hi bas hirman to dekh phul bikhere thi kal saba ek barg-e-gul gira na jahan tha mera qafas mizhgan bhi bah gain mere rone se chashm ki sailab mauj mare to thahre hai koi khas majnun ka dil hun mahmil-e-laila se hun juda tanha phirun hun dasht mein jun nala-e-jaras ai girya us ke dil mein asar khub hi kiya rota hun jab main samne us ke tude hai hans us ki zaban ke ohde se kyunkar nikal sakun kahta hun ek main to sunata hai mujh ko das hairan hun 'mir' naza mein ab kya karun bhala ahwal-e-dil bahut hai mujhe fursat ek nafas