karam un ka khud hai badh kar meri hadd-e-iltija se mujhe su-e-zan nahin hai ki dua karun khuda se dil-e-mutmain ki wusat koi kam hai ma-siwa se mujhe kahe ki kami hai jo talab karun khuda se hui khatm gham ki aandhi wahi dil ki lau hai ab bhi yahi shoala tha wo shoala ki lada kiya hawa se kahe kaun use patinga jo hai shoale par dhuan sa tujhe le ude hain kitna tere par zara zara se jo hai sab ka dene wala main usi ko chahta hun meri bhik wo nahin hai ki mile kisi gada se ye hai qasr-e-zindagani ki habab-e-bahr-e-fani abhi ban gaya hawa se abhi mit gaya hawa se ye khayal khud hai aisa jo khushi bana de gham ko ki hai ibtida khushi ki mere gham ki intiha se mera dil raza pe raazi karam us ka josh par hai jo ab aa gai zaban tak to asar gaya dua se meri lakh minnaton par teri ek haya hai bhaari koi parda hai wo parda ki hile-dule hawa se tere pak-baz-e-ulfat nahin haarne ke himmat jo marenge dub kar bhi to marenge rah ke pyase kisi dil ki aas yun bhi kabhi 'arzu' na tute ye kahe bani hai dam par wo kahe meri bala se