zawal-e-umr ke parde mein hai hijab kahan wufur-e-shauq se labrez ab gulab kahan kiran kiran se fasana hasin likhta tha chala gaya wo fusun kar-e-afatab kahan numud-e-subh ko deta sada chala aae hamari raat mein baqi hai aisa khwab kahan har ek qadam pe khirad ke nishan milte hain tujhe chhupa ke main rakkhun dil-e-kharab kahan sunahre waqt mein reg-e-rawan ye phul khila wo qissa pyar ka le kar gae hain khwab kahan siyah safed ghata aasman pe phaili thi par us ke jal mein aaya wo mahtab kahan taghayyuraat zamane ke us ne batlae mere sawal ke haq mein tha wo jawab kahan talash khwab mein mere qadam wo leta tha zaban pe us ki hai ab aap aur janab kahan sada-e-dard se waqif dil-e-nafas 'jafar' koi batae ki hota hai dastiyab kahan