ai ba-rukh mushaf-e-gulzar-o-charagh-e-haram-e-ghunchagi-o-aya-e-gul-bari-o-quran-e-bahaar ai ba-qad mauj-e-rawan barq-e-tapan sarw-e-sahi shakh-e-gul-e-taza-o-ilham-e-khiraman-e-bahaar pae gul-gasht zara us qad-e-bala-e-falak-tab-o-chaman-saz ko de izn-e-khiram ki tere hijr mein be-kaif hai be-ruh hai be-tab hai be-khwab hai laila-e-khayaban-e-bahaar bazm ki bazm hai pazhmurda-o-afsurda-o-dil-basta-o-khamosh-o-malul-o-ghamnak khol de kakul-e-zholida-o-shab-rang-o-jahan-said-o-guhar-bez ki hai chashma-e-haiwan-e-bahaar aa bhi jumbish mein ki hain gosh-bar-awaz adiban-o-harifan-o-gul-o-lala-o-sarw ai lab-e-lal-e-fusun-bar-o-dil-awez shakar-rez ki hai tujh pe fida larzish-e-daman-e-bahaar barbat-o-ud-o-sharab-o-daf-o-afsana-o-afsun-o-shab-e-mah-o-rabab-o-saghar aa ki mushtaq hain ai jaan-e-chaman zohra-jabin hosh-ruba mah-laqa sham-e-shabistan-e-bahaar dahr hai khufta-o-ashufta-o-azurda-o-gham-dida-o-nashad-o-zabun-haal-o-tabah han utha nargis-e-makhmur-o-guhar-tab-o-junun-khez ki hai mahbas-e-mai-khana-o-zindan-e-bahaar aaj hai 'hafiz-e-'shiraazi'-o-'khayyam'-o-'naziri'-o-'fughani'-o-'zuhuri' ka jawab ye tera 'josh' ki hai mast-o-kharabaati-o-sar-halqa-e-rindan-e-jahan qibla-e-khasan-e-bahaar