wo mera aks hai saya hai ki paikar kya hai

wo mera aks hai saya hai ki paikar kya hai
main nahin hun to mere qad ke barabar kya hai

har-nafas zehn mein uthta hua mahshar kya hai
mauj-dar-mauj mere jism ke andar kya hai

band aankhon se bhi dekho kabhi aaine ko
khud samajh loge ki ehsas ka patthar kya hai

dard ke ek hi jhonke ne uthaya tufan
kis ko malum ki yaadon ka samundar kya hai

qaid kar rakkha hai lamhat ki diwaron ne
un se niklun to zara dekhun ki bahar kya hai

jis ko dekho wahi patthar hai liye hathon mein
dekhna ye hai ki shishe ka muqaddar kya hai

ek sanam roz tarasha aur use tod diya
zehn-e-insan hai 'brahim' ki 'azar' kya hai

jhil mein hansta hua nanha sa masum kanwal
kitna manzar hai suhana pas-e-manzar kya hai

apni hi aag mein har lamha sulagte rahna
aur fankar ki taqdir mein 'jauhar' kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close