dasht ke dasht ashkon se tar ho gae

dasht ke dasht ashkon se tar ho gae
sare zarraat lal-o-gohar ho gae

saeban the magar mil na pae hamein
umr ki rah par dar-ba-dar ho gae

hadisa ye hua hum chale to magar
aap tak aate aate khabar ho gae

jaane kya kar diya ek nazar ne teri
mere jazbaat zer-o-zabar ho gae

sabr se mere haara tera zulm phir
dekh sayyaad phir baal-o-par ho gae

apne do chaar lamhe bane dastan
phir fasane sabhi mukhtasar ho gae

main ne chupke se dam kin duaen magar
wo shifa pa gae mushtahar ho gae

us ke qadmon ka yun jhuk ke bosa liya
khak-e-pa hum sar-e-rahguzar ho gae

aap 'kausar' ki aankhon ka tara hue
dil mein ubhre to rashk-e-qamar ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close