kya khabar thi ek din ye hadisa ho jaega umr bhar chaha jise wo bewafa ho jaega ho agar azm-e-musammam khwahish-e-manzil ke sath rah ka patthar bhi ek din rahnuma ho jaega is qadar badhne lagi hai har taraf aaludgi sans lena aadmi ka masala ho jaega zindagi bhar sath chalne ki jo khata hai qasam dekhna wo raste hi mein juda ho jaega ab tumhaara koi khat koi khabar milti nahin aise aalam mein to jina bhi saza ho jaega sar uthate hain yahan bhi asr-e-hazir ke yazid kal ye khitta bhi mahaz-e-karbala ho jaega kuchh na kuchh 'ejaz' naghme likh watan ke nam par is tarah se shairi ka haq ada ho jaega