ek to tujh se meri zat ko ruswai mili aur phir ye bhi sitam hai ki tu harjai mili muskuraata hun to honton pe jalan hoti hai teri chahat mein mujhe karb ki yakjai mili phir kisi khauf se jazbon ke badan kanp uthe jab bhi un shabnami aankhon se pazirai mili ek ye log ki sathi bhi badal lete hain ek mera dil ki jise zat ki tanhai mili jis ne dil walon ki basti mein rihaish rakkhi us siyah-bakht ko barson ki shakebai mili zahiran sab hi liye phirte hain raushan aankhen warna kitne hi jinhen ruh ki binai mili us ki aankhon mein mera nam farozan tha 'niyaz' jis ke chehre pe mujhe apni shanasai mili