bahut kuchh bhul ho gai bhulne ka shad sun aaya

bahut kuchh bhul ho gai bhulne ka 'shad' sun aaya
meri jaan gham abas hai jhidkiyan sunne ka din aaya

zarur us ne kiya qasid se wada apne aane ka
gaya tha muztarib yan se wahan se mutmain aaya

dil-e-sad-para se nisbat nahin zinhaar ai bulbul
chaman mein ja ke aashiq patiyan phulon ki gin aaya

badi azmat se khud saqi ne ja kar peshwai ki
sharabi koi mai-khana ke andar jab musin aaya

chalo waiz se hargiz kuchh na bolo chup raho rindo
hua josh-e-ghazab ya sar pe us nadan ke jin aaya

mariz-e-gham ki sehat ki khabar allah sunwae
gaya jo pas us ke 'shad' wo phir mutmain aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close