jab khabar hi na koi mausam-e-gul ki aai kaghzi phul pe kuchh soch ke titli aai sabz patton ne bhi shakhon se baghawat kar di aaj is shahr mein kis zor ki aandhi aai ab ye basti hui diwaron ki kasrat ka shikar ab yahan rahne mein be-tarah kharabi aai qahqaha shab ne lagaya hai bade tanz ke sath subh jab apni rihai pe bhi roti aai aankh ek abr ke tukde ko taras jati thi barishon se jahan ab itni tabahi aai raat-bhar subh ki ummid pe zinda tha mariz subh hote hi use aakhiri hichki aai mar gaya habs ki basti mein junhi koi 'nasim' nauha-khwani ko wahan taza hawa bhi aai