ai dil achchha nahin masruf-e-fughan ho jaana gham ki tauhin hai ashkon ka rawan ho jaana dil ki aawaz bhi majruh jahan hoti hai aise haalat mein khamosh wahan ho jaana mere aansu jo giren tank lo tum jude mein dekh le koi to phulon ka guman ho jaana ahl-e-sahil ko bhi andaza-e-tufan ho jae qatra-e-ashk zara sail-e-rawan ho jaana rukhsat-e-mausam-e-gul ke bhi uthao sadme itna aasan nahin ehsas-e-khizan ho jaana qaid-e-mausam nahin naghmat-e-ana dil ke liye koi mausam ho gul-e-tar ki zaban ho jaana mere jine ka sahaara thin jo nazren kal tak kya sitam hai unhen nazron ka garan ho jaana shauq-afza hai ye andaz-e-hijab-e-khuban dil mein rahte hue aankhon se nihan ho jaana wo gulistan mein jo aa jaen to mumkin hai 'khayal' muskuraati hui kaliyon ka jawan ho jaana