jashn manao rone wale girya bhul ke mast rahen sarangi ke tir samaat mein imshab paiwast rahen irani ghaaliche ke chau-gard nashisten qaem hon kafuri shamon se raushan paiham ahl-e-hast rahen kasawaya jae ghodon se lakdi ke pahiyon ka rath tabl alam aswar payaade sare bandobast rahen rang-e-saped-o-siyah sunahri sab shaklon mein zahir hon aag se apni rakh utha kar sona chandi jast rahen naqqare par chot maraatib ka elan sunati hai phus ki kutiyaen marmar ki diwaron se past rahen ek taraf kuchh hont mohabbat ki raushan aayat padhen ek saf mein hathiyar sajae sare jang-parast rahen