ai dil-e-KHush-fahm is aazar se bahar nikal

ai dil-e-khush-fahm is aazar se bahar nikal
dhal gai shab ab khayal-e-yar se bahar nikal

ishq jis raftar se warid hua dil mein mere
us se kah do ab usi raftar se bahar nikal

ab zarurat izzaton par hamla-zan hone ko hai
zindagi chal khema-e-khuddar se bahar nikal

tirgi ne sham se pahle hi hamla kar diya
raushni ab halqa-e-pindar se bahar nikal

dil kabhi ek aur saat ki talab zahir kare
harf-e-be-mani lab-e-izhaar se bahar nikal

ho nahin sakti charaghon se hawa ki dosti
fikr-e-nau bazm-e-lab-o-rukhsar se bahar nikal

tujh se aashufta-mizajon ko na ras aaega ye
'altamash' is shahr-e-pur-asrar se bahar nikal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close