falak ke hathon jidhar munh uthae jata hun udhar se jun gul-e-bazi tapancha khata hun kabhi hai aankhon mein zar dida pe nigah un ki ki main har ek se aankh apni ab churaata hun hawa ke ghode pe jab wo sawar hote hain to pa ke waqt main kya kya maze udata hun khilafi un ke wo aankhen jo yaad aati hain to apni aankhon ko ro ro ke main sujata hun bala se gar nahin milte wo mujh se par 'maruf' unhon ka shahr main aashiq to main kahata hun