ai dil samaaton pe sitam ki duhai de is be-karan sukut mein kuchh to sunai de ye wasf bhi kamal-e-junun aashnai de har aaine mein ek wahi surat dikhai de main bhi to rang-o-bu ka tamasha karun kabhi qudrat mere chaman ko bhi jalwa-numai de dil ki basaraton ka ye ejaz hai ki main aankhen bhi band rakkhun to rasta dikhai de har samt zindagi ka hai mela laga hua lekin har aadmi yahan tanha dikhai de