hai jurm mohabbat to saza kyun nahin dete yaro hamein ek roz mita kyun nahin dete hum rah mein diwar ki manind khade hain diwar ko thokar se gira kyun nahin dete maikhane ke aadab se waqif jo nahin hum mahfil se hamein apni utha kyun nahin dete jab hum ne lagaya tha gale se tumhein apne us daur ki tarikh bhula kyun nahin dete mashhur-e-zamana jo hai sachchai hamari phir tum hamein suli pe chadha kyun nahin dete ai rahbaro kaba-o-kashi ko mila kar maikhane ki ek rah bana kyun nahin dete jin logon ko dawa hai masihai ka 'sajid' wo log hamein zahr pila kyun nahin dete