gulon ke sath ajal ke payam bhi aae bahaar aai to gulshan mein dam bhi aae hamin na kar sake tajdid-e-arzu warna hazar bar kisi ke payam bhi aae chala na kaam agarche ba-zom-e-rahbari janab-e-khizr alaihis-salam bhi aae jo tishna-e-kaam-e-azal the wo tishna-kaam rahe hazar daur mein mina o jam bhi aae bade badon ke qadam dagmaga gae 'taban' rah-e-hayat mein aise maqam bhi aae