ai dila hum hue paband-e-gham-e-yar ki tu ab aziyyat mein bhala hum hain giraftar ki tu hum to kahte the na aashiq ho ab itna to bata ja ke hum rote hain pahron pas-e-diwar ki tu hath kyun ishq-e-butan se na uthaya tu ne kaf-e-afsos hum ab malte hain har bar ki tu wahi mahfil hai wahi log wahi hai charcha ab bhula baithe hain hum shakl-e-gunahgar ki tu hum to kahte the ki lab se na laga saghar-e-ishq mai-e-andoh se ab hum hue sarshaar ki tu be-jagah ji ka phansana tujhe kya tha darkar tan o tashnia ke ab hum hain saza-war ki tu wahshat-e-ishq buri hoti hai dekha nadan hum chale dasht ko ab chhod ke ghar-bar ki tu aatish-e-ishq ko sine mein abas bhadkaya ab bhala khinchun hun main aah-e-sharar-bar ki tu hum to kahte the na hamrah kisi ke lag chal ab bhala hum hue ruswa sar-e-bazar ki tu ghaur kije to ye mushkil hai zamin ai 'jurat' dekhen hum is mein kahen aur bhi ashaar ki tu