amal kuchh aisa kiya adu ne ki ishq baham laga chhudaya ilahi chhut jaen us ki nabzen milap jis ne mera chhudaya na baithe aaram se wo gahe uthae nit dukh pe dukh khudaya ki jis ne nahaq utha ke bohtan apna wan baithna chhudaya ilahi mahrum rakhiyo us ko mudam lazzat-e-do-jahan se asir-e-dam-e-firaq kar mujh ko jis ne mera maza chhudaya na dosti ka use mile phal na koi marbut howe us se ki jis ne kar dushmani khudaya jo rabt aapas mein tha chhudaya urus-e-giti samajh ke us ko zalil hargiz na munh lagawe ilahi aqd-e-mohabbat us se ye jis ne mera bandha chhudaya chhute gareban us ka gahe na panja-e-ranj se khudaya ki daman-e-wasl hath apne se jis ne us shokh ka chhudaya ilahi zindan-e-gham se pawe na jite-ji wo kabhi rihai ki jis ke bahkae se ab us ne dil apna hum se phansa chhudaya lahu jo mushtaq wasl ka tha chhuta na qadmon se us ke hargiz agarche dho dho ke us ne kitna ba-shakl-e-rang-e-hina chhudaya kahe hai 'jurat' yahi ba-takrar dard-e-hijran se hath mal mal ilahi chhut jaen us ki nabzen milap jis ne mera chhudaya