ek wo bhi din the tujh se mera rabta na tha sanjidgi se tere liye sochta na tha nafrat mili to zom-e-wafa tut tut kar bikhra kuchh is tarah ki koi wasta na tha kamre mein phailti hi gai raushni ki lahr kirnon ka jal tha ki kahin tutta na tha dekha tujhe to chand bhi pedon mein chhup gaya waise to shahr bhar mein koi chand sa na tha wo apni zat mein hi muqayyad raha 'niyaz' sab dekhte the us ko koi dhundhta na tha