arz-e-hunar bhi wajh-e-shikayat ho gai chhota sa munh tha mujh se badi baat ho gai dushnam ka jawab na sujha ba-juz-salam zahir mere kalam ki auqat ho gai dekha jo kha ke tir kamin-gah ki taraf apne hi doston se mulaqat ho gai ya zarbat-e-khalil se but-khana chikh utha ya pattharon ko marifat-e-zat ho gai yaran-e-be-bisat ki har bazi-e-hayat khele baghair haar gae mat ho gai be-razm din guzar liya ratjaga manao ai ahl-e-bazm jag utho raat ho gai nikle jo mai-kade se to masjid tha har maqam har gam par talafi-e-mafat ho gai hadd-e-amal mein thi to amal thi yahi sharab radd-e-amal bani to mukafat ho gai ab shukr na-qubul hai shikwa fuzul hai jaise bhi ho gai basar-auqat ho gai wo khush-nasib tum se mulaqat kyun kare darban hi se jis ki mudaraat ho gai har ek rahnuma se bichhadna pada mujhe har mod par koi na koi ghat ho gai yaron ki barhami pe hansi aa gai 'hafiz' ye mujh se ek aur buri baat ho gai