hasb-e-wada mujh se milne wo kabhi aaya nahin is se badh kar aur kuchh bhi hausla-farsa nahin hijr tha is ka bahut sabr-azma mere liye gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin dawat-e-nazzara de kar aisa wo ghaeb hua meri aankhon ne dobara phir use dekha nahin katne ko daudte hain mujh ko ye diwar-o-dar jaise main tanha hun waise koi bhi tanha nahin murtaish rahta hai ab har dam mera tar-e-wajud kya guzarti hai mere dil par kabhi kahta nahin kar raha hun apni ye tarhi ghazal nazr-e-'munir' aisa shair aaj tak main ne kabhi dekha nahin kar ke is ke wada-e-farda pe 'barqi' e'tibar main kai din tak musalsal raat-bhar soya nahin