ai gul-e-nau-damida ke manind hai tu kis aafrida ke manind hum ummid-e-wafa pe teri hue ghuncha-e-dair chida ke manind khak ko meri sair kar ke phira wo ghazal-e-ramida ke manind sar uthate hi ho gae pamal sabza-e-nau-damida ke manind na kate raat hijr ki jo na ho nala tegh-e-kashida ke manind hum giraftar-e-haal hain apne tair-e-par-burida ke manind dil tadapta hai ashk-e-khunin mein said-e-dar-khun tapida ke manind tujh se yusuf ko kyunke nisbat den kab shunida ho dida ke manind 'mir'-sahib bhi us ke han the lek banda-e-zar kharida ke manind