kis mast ada se aankh ladi matwala bana lahra ke gira aage to hain rahen aur kathin dil pahle hi thokar kha ke gira aage jo badha tharrae qadam wo hans jo diye sharma ke gira behosh nahin hoshyar tha main uthne ka sahaara pa ke gira dil shauq ke josh mein daud chala aur josh to hota hai andha dar band pada tha qismat ka takkar jo lagi teyora ke gira jitni bhi dil ki zarurat thi bas utni hi himmat-o-taqat thi raste ki khakheden jhel gaya pas aate hi main chakra ke gira kya ishq ki manzil bhi hai kadi bandh bandh kar himmat tut gai jo ek qadam chal kar sambhla wo do qadam aage ja ke gira sulgi hui hai gham ki bhatti dil kyun na pighal ke bane pani jo qatra aansu ho ke baha lahra ke chala teyora ke gira wo nala falak se takraya wo 'arzu' ek tara tuta dushman ki taraf jo lapka tha shoala wo mujhi par aa ke gira