tark-e-sitam pe wo jo qasam kha ke rah gae arman dil mein arz-e-tamanna ke rah gae tum kahte kahte hum se jo sharma ke rah gae kya baat thi jo ta-ba zaban la ke rah gae deta hai sath kaun kisi ka pas-e-fana sab dost ta lahad mujhe pahuncha ke rah gae ya main ne rah-e-ishq-o-wafa se gurez ki ya ham-nafas mere mujhe samjha ke rah gae achchha hua na un ka mariz-e-shab-e-firaq sab mojaze janab-e-masiha ke rah gae duniya se jaane walon ka koi pata nahin ya rab mere ye log kahan ja ke rah gae kya un se uth sakengi mohabbat ki sakhtiyan jo panw rah-e-ishq mein phaila ke rah gae taqdir mein qafas ho to kya is se faeda do din agar chaman ki hawa kha ke rah gae phirte ho ai 'rashid' jo tum us ke sath sath ban kar ghulam kya dil-e-shaida ke rah gae