aql ki kuchh kam nahin hai rahbari mere liye har taraf light hai har-su raushni mere liye ab kahan hai husn mein wo dilkashi mere liye rah gai handiyan mein khali khurchuni mere liye aatish-e-qahr-e-khuda dam bhar mein kar deti hai gul hai meri tar-damani ai aar-pi mere liye un ke tewar mehrban un ki nigahen multafit de rahi hai zor puri parti mere liye saikdon jine mein lale lakhon rakhne zist mein kirm-khurda ai khuda ye zindagi mere liye ahl-e-mahshar le gae qahr-o-ghazab sab lut kar sirf ek rahmat khuda ki rah gai mere liye dil mein rang-o-roghan-e-dahqan ka rahta hai khayal roz-marra ganw se aata hai ghi mere liye jab main jaanun khidmat-e-khalq-e-khuda karte hain aap dhund dije koi aurat shaikh-ji mere liye shukr hai allah ka hindostan mein hai qayam yan zananon ki nahin hai kuchh kami mere liye 'shauq' tapka pad raha hai ru-e-jaanan se shabab samne rakkhi hui hai ras-bhari mere liye