ai ibn-e-iztirab dil-e-na-subur sabr

ai ibn-e-iztirab dil-e-na-subur sabr
taklif mein hai bais-e-kaif-o-surur sabr

chhat kar rahegi tirgi ek din gurez ki
phutega iltifat-o-mohabbat ka nur sabr

aankhon mein tairte hain abhi tak kai huruf
likkha tha us ne ashk se bainassutur sabr

main kya karun ki tum ko na ho barhami kabhi
kis tarah dil ko aae tumhaare huzur sabr

tum se tha dur dur to sabir tha sakht tha
shishe ki tarah pal mein hua chur chur sabr

donon hi e'tidal pe 'raghib' na rah sake
tha mera iztirab to un ka qusur sabr


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close