dikhate hain ada kuchh bhi to aafat aa hi jati hai sambhal kar lakh chalte hain qayamat aa hi jati hai mohabbat mein hain sabr-o-shukr ke har-chand hum qail magar kuchh kuchh kabhi lab par shikayat aa hi jati hai jo sach puchho to hain aashiq bhi pairaw nazninon ke badan mein na-tawani se nazakat aa hi jati hai majaz ek parda-e-idrak hai to chashm-e-bina ko kisi surat nazar shakl-e-haqiqat aa hi jati hai nahin jazb-e-dil-e-ashiq se hai mashuq ko chaara agar bedard bhi ho to mohabbat aa hi jati hai butan-e-sim-tan ke wasl se hum faiz pate hain wo aate hain to apne ghar mein daulat aa hi jati hai tere ashaar-e-rangin se bhala farhat na ho 'ahqar' ki in phulon se khushbu-e-fasahat aa hi jati hai