ai jahan gham ke siwa tujh se mila kuchh bhi nahin main pareshan to hua par hai gila kuchh bhi nahin ja padenge wan hawaon ka safar hoga jahan zindagi mauj samundar ke siwa kuchh bhi nahin jo muqaddar ne diya us ko lagaya hai gale jo bichhad hum se gaya us ki khata kuchh bhi nahin baat kahne ki nahin aa to zara sun to kabhi mahfilon mein hai maza tere bina kuchh bhi nahin khwab aankhon mein liye din ke ujalon mein chalun shab ki soya tha ki jaga tha pata kuchh bhi nahin bas khalaon se nazar aai meri duniya use wo samajhta hai ki andar hai bapa kuchh bhi nahin kaun se munh se karoge ye bhala ahd-e-wafa tum ki kahte the ye paband-e-wafa kuchh bhi nahin baadalon ne jo kaha wo to sabhi ne hai suna barishon ne jo kaha us ko suna kuchh bhi nahin dil-girafta hi sahi khaki pasheman to nahin ishq mein hum ko mayassar jo hua kuchh bhi nahin