kali kali ka badan phod kar jo nikla hai wo zindagi ka nahin maut ka taqaza hai har ek jhuta payambar hai ye bhi thik nahin kahin kahin to magar sab ke sath ghapla hai main us ka barf badan raundh kar pasheman hun magar jo dur khade hain unhen wo shoala hai jo thukta hai har ek chiz ko andhere se kabhi kabhi wahi din mujh mein dub jata hai har ek samt ghalazat bhare samundar hain magar ye main ne kinare khade hi samjha hai