falak pe jitne hain tare shumar se bahar nikal na jaen kisi din madar se bahar teri judai ka mausam bhi khub-surat hai mujhe nikal raha hai khumar se bahar kisi bhi waqt ye manzar badalne wala hai dikhai dene laga hai ghubar se bahar udas rut hai abhi tak mere taaqub mein khizan ke phul khile hain bahaar se bahar tere karam se to patthar bhi bol padte hain nahin hai kuchh bhi wahan ikhtiyar se bahar mere wajud ka gumbad hai tutne wala nikalne wala hun main is hisar se bahar