ai kahkashan guzar ke teri rahguzar se hum aage badhenge aur maqam-e-qamar se hum azm-e-buland hausla-e-mustaqil liye guzre har ek marhala-e-sakht-tar se hum dekha to hai zamin se tujhe gumbad-e-falak dekhenge ab zamin ko tere baam-o-dar se hum jab se hui hai aankh shab-e-gham se aashna na-ashna hain lazzat-e-khwab-e-sahar se hum dil iztirab-o-dard se mahrum ho gaya baz aae tere lutf-o-karam ki nazar se hum har taza gham ke waste ja-e-qayam hai tang aa gae hain wusat-e-qalb-o-jigar se hum targhib de na ai dil-e-furqat-nasib tu waqif hain khub aah-o-fughan ke asar se hum 'fazil' hamara haal bhi hota teri misal rahte na hoshiyar agar rahbar se hum