ai kashif-e-asrar bata hai ki nahin hai

ai kashif-e-asrar bata hai ki nahin hai
kahte hain jise log khuda hai ki nahin hai

duniya mein bhalai ka sila hai ki nahin hai
anjam burai ka bura hai ki nahin hai

mahsus to hota hai dikhai nahin deta
is soch mein duba hun khuda hai ki nahin hai

kyun hum ko daraata hai koi roz-e-jaza se
khud apni jagah zist saza hai ki nahin hai

kyun dast-nigar khud ko samajhta hai kisi ka
qabze mein tere dast-e-dua hai ki nahin hai

hum se bhi kabhi rabt tha ai bhulne wale
zalim tujhe kuchh pas-e-wafa hai ki nahin hai

ji bhar ke saza de magar itna to bata de
na-karda-gunahi ki jaza hai ki nahin hai

jo bhi nazar aata hai yahan nazr-e-fana hai
ai dost fana ko bhi fana hai ki nahin hai

baatil ki parastish jahan hoti hai shab-o-roz
haq baat ke kahne ka maza hai ki nahin hai

duniya ka tujhe dar hai bahut ye mujhe taslim
kuchh dil mein tere khauf-e-khuda hai ki nahin hai

tu mai ki mazammat to kiya karta hai waiz
ye shai magar andoh-ruba hai ki nahin hai

insaf se len kaam jinhen zauq-e-sukhan hai
uslub mera sab se juda hai ki nahin hai

'talib' to yaqinan hi teri sari khudai
lekin koi raazi-ba-raza hai ki nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close