utar kar aaegi aangan mein yaro chandni kab tak jala kar khun-e-dil apna karen hum raushni kab tak jo mai-asham hain pyase palat aate hain mahfil se rahega dast-e-zahid mein nizam-e-mai-kashi kab tak jala kar shama par shama koi diwana kahta tha main dekhunga ki ab mitti nahin hai tirgi kab tak ye gulshan ke muhafiz ye lutere rang-o-nikhat ke karenge is tarah nilam phulon ki hansi kab tak khada hai aaj har insan armanon ke maqtal mein saza jine ki paegi na jaane zindagi kab tak mohazzab jaanwar tahzib ke jangal ka bashinda lahu pita rahega aadmi ka aadmi kab tak qalam se kaam lena chahiye talwar ka 'rizwan' faqat tafrih ki khatir ye sher-o-shaeri kab tak