ai KHuda ishq mein mehnat meri barbaad na ho

ai khuda ishq mein mehnat meri barbaad na ho
dil giraftar-e-wafa hai kahin aazad na ho

wada-e-wasl unhen yaad dilaun to kahen
baat tum aisi kaho kyon jo mujhe yaad na ho

dil-e-afat-zada ab dekh chuka aish ke din
ye wo virana hai jo phir kabhi aabaad na ho

dar qafas ka hai khula kuchh sar-e-parwaz nahin
is qadar bhi asar-e-ulfat-e-sayyaad na ho

jis ko tu lutf samajhta hai sitam niklega
ai dil aaghaz-e-mohabbat hai abhi shad na ho

wasl ke zikr se kya kaam samajh jaunga
ek ishaara hi sahi munh se kuchh irshad na ho

zulm-e-be-ja se to khud baz nahin aate hain
aur mujh par hai ye takid ki fariyaad na ho

tere qamat ne uthai hai qayamat kaisi
mujh ko dar hai ye koi misra-e-ustad na ho

aaj kyon naghma-e-lai mein hai fughan ka andaz
teri mahfil mein kahin 'kaukab'-e-nashad na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close