mannat-guzar-e-rahzan-o-rahbar na the hum kab harif-e-gardish-e-sham-o-sahar na the tufan-e-baad-o-gham se bhi zer-o-zabar na the aakhir hum aadmi the charagh-e-sahar na the guzre rah-e-junun se bahut karwan magar wo chot kha gae jo wasi-un-nazar na the ahl-e-wafa ne manzil-e-maqsad ko pa liya wo bad-nasib the jo sharik-e-safar na the allah re tazad-e-yaqin-o-guman-e-shauq hum mo'atabar na the kabhi tum mo'atabar na the kab ahl-e-dil ko dard mein rahat nahin mili kab hadsat marham-e-zakhm-e-jigar na the ab tak wahi hai tirgi-e-sham-e-zindagi 'bismil' mah-o-nujum safir-e-sahar na the